Har ek baat pe kehty ho...!!! 




Har ek baat pe kehty ho tum ki tu kya hai,
tumhin kaho k ye andaaz-e-guftgoo kya hai.

Na sholy mein ye karishma na barq mein ye adaa,
koi bataao k woh shokh-e-tund-khoo kya hai.

Ye rashk hai k woh hota hai hum-sukhan tum se,
wagarna khauf-e-bad-aamozi-e-adoo kya hai.

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan,
humari jaib ko ab haajat-e-rafoo kya hai.

Jalaa hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga,
kurdate ho jo ab raakh justjoo kya hai.

Ragon mein daurte phirne k hum nahin qaayal,
jab aankh se hi na tapka toh phir lahoo kya hai.

Woh cheez jis k liye hum ko ho bahisht azeez,
siwaaye baada-e-gulfaam-e-mushk-boo kya hai.

Piyon sharaab agar ghum bhi dekh loon do chaar,
ye sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai.

Rahi na taaqat-e-guftaar or agar ho bhi,
toh kis ummeed pe kahen k aarzoo kya hai.

Bana hai shah ka musaahib phire hai itraata,
wagarna shehar mein ‘GHALIB’ ki aabroo kya hai. !!


 Sahara Chahiye Sarkar Hafiz Tahir Qadri New Naat 2017



Lyrics:


Mere aaqa madiny bula lijiye
Mere aaqa madiny bula lijiye

Sahara chahye sarkar zindagi k liye
Tarap raha hoon madine ki haazri k liye

Tayyaba k jaany waly
Jaa kr bary adab se
Mera bhi qisaa e gham kehna shah-E-arab se
Kehna k  shah-e- aalam
Ek ranjo ghum ka mara
Dono jahan mein jis ka hain aap hi sahara
Haalat e pur alam se  iss dum guzar raha hai
Or kampty labon se faryaad kr raha hai
Paaye gunaah apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai aesa jo pochny ko aaye
Bola howa musafir manzil ko dondta hai
Taarikyoo ko maah-e-kamil ko dondta hai
Seeny mein hai andhera
Dil hai syaah khana
Ye hai meri kahani sarkaar ko sunana
Kehna mere nabi se main room hoo khushi se
Kehna mere nabi se main room hoo khushi se
Sarwar qabr-e-ghum hai ashkon se aankh num hai
Paamal-e-zindgi hoo sarkar umati hoo
Ummat k rehnmao kuch arz-e-haal sun lo faryaad kr raha ho
main dil figar kb se Mera bhi qissa-e-ghum kehna mery nabi se

Hazoor aesa koi intzamm ho jaye
Salam k liye hazir ghulaam ho jaye

Sahara chahye sarkar zindgi k liye
tarap raha hoo madine ki hazri k liye

Mera dil tarap raha mera jal raha hai seena
K dawa wahi mily gi mujy ly chalo madina
Nahi maal-o-zar to kya hai
Main greeb hoo yahi na
Mere ishq mujh ko ly chal
tuhi janb-e-madina
Aaqa na toot jaye  ye dil ka aabghina
Ab k baras bhi muala reh jaon main kahin na
Dil ro raha hai jin ka aanso chalak rahy hain
Un aashqo ka sadqa bolwaye madinaaaaa

Mere aaaqa madiny bula lijiye

Madiny jaaon phir aaon dobara phir jaaon
Ye zinagi meri yonhi tamam ho jaye

Sahara chahye sarkar zindagi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye

Ae aazm-e-madina ja kr nabi se kehna
Sody humen alam se ab jal raha hai seena
Kehna k bar rahi  ab dil ki iztrabi
Qadmo se door hoo me qismat ki hai khrabi
Kehna k dil me mere arman bhary howe hain
Kehna k hasrtoon k nashtar choby howe hain
Hai aarzo ye dil ki main bhi madina jaao
Sultan-e-do jahan ko
Daaghy jigar dikhao
Kaato hazar chakar tayyaba ki har gali k
Yonhi guzaar do aayam zindgi k
Pholon py jaan nisaron kanton py dil ko waaron
Zarron ko doon salami  dar ki karon ghulami
Dewaro dar ko chomon chokhat py sar ko rakh doon

Rozy ko dekh kr main rota raho brabar
Aalam k dil mein hai ye hasrat najaany kab
hum sab k hai dil mein  hasrat najany kab se
Mera bhi qisa e ghum kehna shah-e-arab se

Sahara chahaye sarkar zindgi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye

Ek roz ho ga jaana sarkar ki gali mein
Ho ga wahi thikana sarkar ki gali mein
Dil mein nabi ki yaaden lab par nabi ki naaten
Jana to aese jana sarkar ki gali me

Ya mustafa khudara do izn haazri ka
Kr lo nazara aakr main ap ki gali ka
Ek baar to dikha do ramzan mein madina
Iss bar to dikha do ramzan mein madina
Aaqqa humen dikha do ramzan me madina
Beshak bana lo aaqa mehman do ghari ka

Naseeb walo mein mera bhi naam ho jaye
Jo zindgi ki madiny mein shaam ho jaye

Shahra chahye sarkar zindgi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye

Bula lo na bula lo na

Aaqaq aaqa aqqa


Ye Shairi Ye Riazat...!!!



Ye Shairi Ye Riazat Koi Mazak Hai Kya

K Jo Bhi Chahy Wahi Khush Haal Ho Jaaye


Kabhi Kabhi...!!!



Aati To Ho Gi Zehan Mein Guzry Dino Ki Soch

Karta To Ho Ga Woh Mujh Ko Yaad Kabhi Kabhi


Ek Shaks Dekha Hai...!!!



Ek Shakhs Dekha Hai Maine Aayiny Mein

Khafa Dunia Se Hai Kalam Khud Se Bhi Nahi Karta


Ye Mast Mast Be-Misal Aankhen





یہ مست مست بے مثال آنکھیں
نشے سے ہر دم نڈھال آنکھیں

اٹھیں تو ھوش و حواس چھینیں
گریں تو کر دیں کمال آنکھیں

کوئی ہے ان کے کرم کا طالب
کسی کا شوق وصال آنکھیں

نہ یوں جلائیں نہ یوں ستائیں
کریں تو کچھ یہ خیال آنکھیں

ہیں جینے کا بہانہ یارو
یہ روح پرور جمال آنکھیں

دراز پلکیں غزال آنکھیں
مصوّری کا کمال آنکھیں

شراب رب نے حرام کر دی
مگر رکھی ہیں حلال آنکھیں

ہزاروں ان سے قتل ہوئے ہیں
خدا کے بندے سنبھال آنکھیں


Haal e dil Kisko sunae Aap ke hote hue New Naat Hafiz Ahmad Raza



Lyrics:


Haal e dil Kisko sunayen Aap ke hote hue
Kyu kisi ke dar pe jaaen aap ke hote hue

Main gulam e mustafa hu ye meri pehchan hai
Gham muje kyu kar satayen aap ke hote hue

Apna jina apna marna ab isi chokhat pe hai
Ham kahan sarkar jaaen aap ke hote hue

Keh raha hai aapka rabb ANT FIHIM Aap se
Kyu inhe Mein du sazaen aap ke hote hue

Samne hai ae ali ke laal usvaa apka
Kyu kisi ka khauf khae aap ke hote hue

Mai ye kese maan jaoo sham ke darbar me
Chhin le koi ridaen aap ke hote hue

Ye to ho sakta nahi ye baat munkin hi nahi
Mere ghar alam aae aap ke hote hue

Kaun hai Altaf apna haal e dil jis se kahe
Zakhm e dil kis ko dikhae aap ke hote hue


Tu Kuja Mann Kuja , Owais Raza Qadri , New Naat 2017  Ramadan Kareem 2017



Lyrics:


Balaghal Ula Bi Kamalihi,


Kashafad Duja Bi Jamalihi,


Hasunat Jameeu Khisalihi,


Sallo Alaihi Wa aalihi.


Tu Kuja Man Kuja Tu Man Kuja

Tu Amir-e-haram Mai Faqeer-e-ajam
Tu Amir-e-haram Mai Faqeer-e-ajam

Tere Gun Aur Yeh Lab Mai Talab Hi Talab

Tu Ata Hi Ata Mai Khata Hi Khata
Tu Ata Hi Ata Mai Khata Hi Khata
Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja
Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja

Tu Hai Ehraam-e-anwaar Bandhay Huye
Mai Daroodon Ki Dastaar Bandhay Huye
Tu Hai Ehraam-e-anwaar Bandhay Huye
Mai Daroodon Ki Dastaar Bandhay Huye

Kaba-e-ishq Tu Mai Tere Chaar Su
Kaba-e-ishq Tu Mai Tere Chaar Su
Tu Asar Mai Dua Tu Kuja Man Kuja
Tu Asar Mai Dua Tu Kuja Man Kuja

Mera Har Saans To Khoon Nichoray Mera
Mera Has Saans To Khoon Nochoray Mera
Teri Rehmat Mager Dil Na Toray Mera
Teri Rehmat Mager Dil Na Toray Mera

Qasa-e-zaat Hu Teri Khairat Hu
Qasa-e-zaat Hu Teri Khairat Hu
Tu Sakhee Mai Gada Tu Kuja Man Kuja
Tu Sakhee Mai Gada Tu Kuja Man Kuja

Tu Haqeeqat Hai Mai Sirf Ehsaas Hu
Tu Haqeeqat Hai Mai Sirf Ehsaas Hu
Tu Samander Mai Bhatkee Hui Pyas Hu
Tu Samander Mai Bhatkee Hui Pyas Hu

Mera Gher Khak Per Aur Teri Reh Guzer
Mera Gher Khak Per Aur Teri Reh Guzer
Sidratul Muntaha Tu Kuja Man Kuja
Sidratul Muntaha Tu Kuja Man Kuja

Dagmagao Jo Halaat Ke Samnay
Dagmagao Jo Halaat Ke Samnay
Aye Tera Tasavur Mujhay Thaamnay
Aye Tera Tasavur Mujahy Thaamnay

Meri Khush Qismati Mai Tera Ummati
Meri Khush Qismati Mai Tera Ummati
Tu Jaza Mai Raza Tu Kuja Man Kuja
Tu Jaza Mai Raza Tu Kuja Man Kuja

Duria Samnay Se Jo Hatnay Lagee
Duria Samnay Se Jo Hatnay Lagee
Jalio Se Nigahe Lipatnay Lagee
Jalio Se Nigahe Lipatnay Lagee

Ansio Ki Zuban Ho Meri Tarjuma
Ansio Ki Zuban Ho Meri Tarjuma
Dil Se Niklay Sada Tu Kuja Man Kuja
Dil Se Niklay Sada Tu Kuja Man Kuja

Tu Ameer-e-haram Mai Faqeer-e-ajam
Tere Gun Aur Yeh Lab Mai Talab Hi Talab

Tu Ata Hi Ata Mai Khata
Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja
Tu Kuta Man Kuja Tu Kuja Man Kuja

Tu Kuja Man Kuja Tu Man Kuja


Bulleh Nu Samjawa Aayaan...!!!





Bulleh Nu Samjhawan Aaiyaann Bhaena Tey Bharjayee-yan

                                       بلھے نوں سمجھاون آئیاں، بھیناں تے بھرجائیاں            

من لے بلھیا ساڈا کہنا، چھڈ دے پلّا رائیاں

Bulleh Nu Samjhawan Aaiyaann Bhaena Tey Bharjayee-yan
Man Lay Bulleya Sada Kena, Chad Day Palla Raaiyan


آل نبی اولادِ علی نوں، توں کیوں لیکاں لائیاں
Aal e Nabi Ullad e Ali, Nu Tu Kyun Lee-kaan Laiyaan.

جیہڑا سانوں سیّد سدّے، دوزخ ملن سزائیاں
جو کوئی سانوں رائیں آکھے، بہشتیں پینگھاں پائیاں
Jeyra Saanoun Syed Saday Dozakh Milay Sazaiyaan.
Jo Koi Saanu Raie Aakhe, Bhisti Peenghaan Paian.

آرائیں سائیں سبھنیں تھائیں، رب دیاں بے پروائیاں
سوہنیاں پرے ہٹائیاں نیں تے، کوجھیاں لے گل لائیاں
Raien, Saayin, Sabhin Thaayein, Rab Deyaan Bay Parwaaiyaan,
Sohniyaan Paray Hatayaan Tay, Khojeyaan Lay Gall Laiyaan.

جے توں لوڑیں باغ بہاراں، چاکر ہوجا رائیاں
بلھے شاہ دی ذات کہہ پچھنایں، شاکر ہو رضائیاں
Jay To Lorain Baagh Baharaan ,Chaakar Ho Ja Araiyaan. 
Bulley Shah Dee Zaat Kee Puchni, Shaakar Ho Razayaan.


Bulleh Shah
بلھے شاہ


Maa Di Shan - Shakeel Ashraf



Lyrics:


Jannat waliyaan thandiyan thandiyaan chaawaan da
Dein nai de sakda koi maawaan da
Dein nai de sakda koi maawaan da

Jannat waliyaan thandiyaan thandiyaan chaawan da
Dein nai de sakda koi maawaan da
Dein nai de sakda koi maawaan da

Maa kamli de nain oodon tak sohnde nai
Jad tikar a baal gharaan nu aaondy nai
Jad tikar a baal gharaan nu aaondy nai
Bohy beh k kalma pardiyaan raahwaan da

Dein nai de sakda koi maawaan da
Dein nai de sakda koi maawaan da

Maawaan haye maawaan maa jannat da parchaawaan
Maawaan haye maawaan maa jannat da parchaawaan

Eidaan te shabraataan aayaan, lookan ghar ghar khushiyan manayan
Ghar da boha enj nai khulda
Tera jagraata nai bulda
Tera jagraata nai bulda
Ghar da boha enj nai khulda Maayen
Tera jagraata nai bulda
Tera jagraata nai bulda

Rabba apna roop wakhana aen
Rabba apna roop wakhana aen
Fer maawan nu kyoon le jaanaan aen
Fer maawan nu kyoon le jaanaan aen

Kaaly badal kaaly,
maa apni de laad niraaly
Kaaly badal kaaly,
maa apni de laad niraaly
Ty putraan di, dhiyaan di aeho dua
Jeri jaamy shalla ooho sada paaly

Maawan haye maawa maa jannat da parchawan
Maawan haye maawa maa jannat da parchawan
Dein nai de sakda koi maawaan da

Hijjar di ag seeny wich bhanpar laandi a
Jad v RAJA yaad menu maa aaondi a
Jad v RAJA yaad menu maa aaondi a
Cheeta kr k rowaan ohndiyaan chawaan da
Dein nai de sakda koi maawaan da
Dein nai de sakda koi maawaan da

Maawaan haye maawaan maa jannat da parchawaan
maa jannat da parchawaan,O maa jannat da parchawaan

be adbi jy maa di keti kuj nai rehna pally
o rab ne jannat rakh chadi jy maa de peeran thally

o bhai bhaiyaan dy dard wandaonde
ty bhai bhaiyaan dyaan  bhaawaan
o baap ne sir da taaj MUHAMMAD
o ty maawaan thandiyaan chaawaan

maa mary ty peky mukdy
ty pyo mary ghar wehlaa
shaalla maran na veer kisy da
ujhar jaanda jy melaa

maawa o maawa maa jannat da parchawan
maa jannat da parchaawaan
maa jannat da parchaawaan


Kash Main Dor-E-Payamber Mein Uthaya Jaata New Naat By Farhan Ali Waris



Lyrics:


Kash mein dor e payambar me uthaya jaata ,,
Bakhuda qadmo me sarkaar (s.a.w.w) k paya jaata ,,

Sath sarkaar (s.a.w.w) k ghazwat me shamil hota,,
Unki nusrat me lahu mera bahaya jaata ,,

Rait ke zaron me Allah badal deta mujhe ,,
Or mujhe rah e Muhammad (s.a.w.w) me bichaya jaata ,,

Khak hojata mein sarkaar (s.a.w.w) k qadmo ke taley ,,
Khak ko khak e madina me milaya jaata ..

Kash aey kash mein hota koi aisi lakri ,,
Jisko sarkaar (s.a.w.w) ke minber me lagaya jaata ,,

Bun ke lejata mujhe naat Ke shairon me koi ,,
Robaro unke mein unko hi sunaya jaata,,

Unke Roze k dar o baam sajane ke liye ,,
Rozano me meri ankhon ko lagaya jaata ,.

K Ghaas hi hota madine ke gali koochon ki ,,
Or sarkaar (s.a.w.w.) k naaqey ka khilaya jaata ,,

K laya jaata sar e darbaar aseeron ki trah ,,
Hukm pr unke mein azaad karaya jaata ,,

Hota us dor ka qisa koi noor o farhan ,,,
Aj k dor mein bachon ko parhaya jaata ,,


Hosh Main Gira...!!!



Urta Raha To Chand Se Yaarana Tha Mera
Ghayel Howa To Wadiye Galposh Mein Gira

Be Aabro Na Thi Koi Lagzish Meri Danish
Main Jab Gira, Jahan Bhi Gira Hosh Mein Gira


ek dhowan sa...!!!



Ek Dhuwan Sa Kahin Andar Se Utha Aata Hai

Apni Saanson Se Meri Rooh Jali Ho Jesy



dil k madfan py...!!!



Dil K Madfan Py Koi Bhi Nahi Roony Wala

Apni Darghah K Hum Akely Hi Majawar Thehry


kitna nazuk hai...!!!



Dekho! Kitna Nazuk Hai Mera Mehboob

Raat Haath Jala Betha Jugno Pakarty Howy


unhon ne shughal kiya...!!!



Baihs Main Kaya Karon Mohabbat Py....?

Jo Thy Faragh, Unhon Ne Shughal Kiya


Aankhon Ki Masti...!!!



Bara Pur Lutaf Rishta Hai, Nigahon Ka Nigahon Se

Meri Aankhon Ki Hasrat Mein Teri Aankhon Ki Masti Hai


Hum Batayen Gy...!!!



Bait Kar Hamary Haathon Py Aey Ishq

Tarapna Kisy Kehty Hain Ye Hum Batayen Gy



Mehboob-E-Khuda...!!!


      Ye Nisbat Ishq Ki Hai Be Rang Laaye Reh Nahi Sakti

Jisy Mehboob Khuda Ho Ga, Wahi Mehboob-E-Khuda Ho Ga



Mujhy Ye Shikwa...!!!



Mujhy Ye Shikwa K To Roo Broo Kiyon Nahi

Ussy Ye Maan K Mujhy Dhoond K Mil


Kocha-E-IshQ...!!!



Elam-O-Hikmat Ka Jinhen Shoq Ho Aayen Na Idhar

Kocha-E-Ishq Mein Kuch Bhi Nahi Hairat K Siwa



Categories

Blog Archive