suna hai aaj kal woh pareshan rehta hai...!!!



Suna Hai Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hai
Usse Kehna Be-Fikar Main Bhi Nahi Hoon

Suna Hai Wo Raaton Ko Jaga Karta Hai
Usse Kehna Sota Main Bhi Nahi Hoon

Suna Hai Wo Chhup Chhup Ke Roota Hai
Usse Kehna Hansta Main Bhi Nahi Hoon

Suna Hai Wo Mujhy Yaad Bohat Karta Hai
Usse Kehna Bhoola Main Bhi Nahi Hoon

Suna Hai Usne Wafa Ka Daawa Kiya Hai
Usse Kehna Bewafa Main Bhi Nhi Hoon



Kaash Main Tere Hasin Haath Ka Kangan Hota...
کاش میں تیرے حسیں ہاتھ کا کنگن ہوتا
تُو بڑے پیار سے بڑے چاوْ سے بڑے مان کے ساتھ
اپنی نازک سی کلائی میں چڑھاتی مجھ کو
اور بےتابی سے فرقت کے خزاں لمحوں میں
تو کسی سوچ میں ڈوبی جو گھماتی مجھ کو
میں تیرے ہاتھ کی خوشبو سے مہک سا جاتا
جب کبھی موڈ میں آ کر مجھے چوما کرتی
تیرے ہونٹوں کی حدت سے دہک سا جاتا
رات کو جب بھی تُو نیندوں کے سفر پر جاتی
مَرمَریں ہاتھ کا اک تکیہ بنایا کرتی
میں ترے کان سے لگ کر کئی باتیں کرتا
تیری زلفوں کو تیرے گال کو چوما کرتا
جب بھی تو بند قبا کھولنے لگتی جاناں
کاپنی آنکھوں کو ترے حُسن سے خیرہ کرتا
مجھ کو بےتاب سا رکھتا تیری چاہت کا نشہ
میں تری روح کے گلشن میں مہکتا رہتا
میں ترے جسم کے آنگن میں کھنکتا رہتا
کچھ نہیں تو یہی بے نام سا بندھن ہوتا
کاش میں تیرے حسیں ہاتھ کا کنگن ہوتا
وصی شاہ

Kaash main tere hansee’n haath ka kangan hota
tu baray pyar say, chao say, baray maan ke saath

apni nazuk see kalaee main charhati mujh ko
aur betaabi say furqat ke khiza’n lamhon main

tu kisi soch main doobi jo ghumati mujh ko
main tere haath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main aa kar mujhe chuma karti
tere honton ki main hiddat say dehak sa jata

raat ko jab bhi tu neend ke safar pe jaati
marmari’n hath ka eik takiya banaya karti

main tere kaan say lag kar kai baatain karta
teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta

mujh ko betaab sa rakha teri chaahat ka nasha
main teri rooh ke gulshan main mehakta rehta

main tere jism ke aangan main khanakta rehta
kuch nahin tu yehi be-naam sa bandhan hota

kaash main tere hansee’n haath ka kangan hota



Wo Kehti Hai Suno Jana



Wo Kehti Hai Suno Jana
"Wo Kehti Hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Iss Ko"

"Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti"

Wo Kehti Hai Sada Aisay Hi
Kaya Tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Is Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nahi Sakti"

"Main Kehta Hoon
Mohabbat Kaya Hai
Yeh Tum Nay Sikhaya Hai
Mujay Tum Say Mohabbat K Siwa
Kuch Bhi Nahi Aata"


"Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud Ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab"

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Bohat Muj Ko Satatay Hain
Mager Sach Hai Mohabbat Main"
Judai Saath Chalti Hai

"Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do Gaye?"

"Main Kehta Hoon
Kabhi Iss Baat Per Socha Nahi Main Nay
Ager Ik Pal Ko B Sochon To
Saansien Ruknay Lagti Hain"


"Wo Kehti Hai Tumhien Mujh Say
Mohabbat Is Qader Kyu Hai
Keh Main Ik Aam Si Larki
Tumhien Kyu Khaas Lagti Hoon"


"Main Kehta Hoon
Kabhi Khud Ko Meri Ankhon Say Tum Deikho
Meri Dewangi Kyu Hai
Yeh Kkhud He Jaan Jao Gi"

"Wo Kehti Hai
Mujay Warftgi Say Dekhtay Kyu Ho
Keh Main Khud Ko Bohat
Qeemti Mehsoos Krti Hoon"

"Main Kehta Hoon
Mata-E-Jaan Bohat Anmool Hoti Hai
Tumhien Jab Dekhta Hoon Zindagi
Mehsoos Krta Hoon"

"Wo Kehti Hai Mujay Alfaaz K Jugno Nahi Miltay
Keh Tumhien Bta Sakuun
Keh Dil Main Mere
Kitni Mohabbat Hai"

"Main Kehta Hoon
Mohabbat To Niighaon Say Jhalkti Hai
Tumhari Khamosi Mujh Say
Tumhari Baat Karti Hai"

"Wo Kehti Hai
Batao Na Kis Ko Khonay Say Darte Ho
Batao Kon Hai Wo Jisay
Yeh Mosam Bulatay Hain"

"Main Kehta Hoon
Yeh Meri Shaayeri Hai Aiena Dil Ka
Zara Dekho Batao Kaya
Tumhien Is Main Nazar Aya"

"Wo Kehti Hai
Suno!!! Bohat Baatien Banatay Ho
Mager Sach Hai Yeh Baatien
Bohat Hi Shaad Rakhti Hain"

"Main Kehta Hoon
Yeh Sab Baatien Yeh Fasaany Ik Bahana Hain
Keh Pal Kuch Zindagani K
Tumhare Saath Kat Jayen
Phir Us K Baad Khamoshi Ka
Dilkash Raqs Hota Hai
Nigahein Bolti Hai Or
Lab Khamosh Rehtay Hain"

"Wo Kehti Hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Iss Ko"



Sitam Hai Baad Tere, Tere Ho Gaye Hum Bhi



Sitam Hai Baad Tere, Tere Ho Gaye Hum Bhi
Ajeeb Lazt-E-Ghum Thi K Kho Gaye Hum Bhi

Bhujy Jo Chaand Sitary To Teri Yaad Liye
Garoor-E-Sobho K Daman Mein So Gaye Hum Bhi

Tere Karam Ne Hi Thy Aanso Tamaam Tar Bakhsy
Woh Saary Aanso K Tere Dar Pe Ro Gaye Hum Bhi

Na K To Ho Gaya Hai Aaieny Se Pathar
Tere Firaaq Mein Pathar K Ho Gaye Hum Bhi

Danish Khak Howe Phir Bhi Shaad Maan Hi Rahy
K Fasl-E-Ishq Yahaan Par To Bo Gaye Hum Bhi



Roop De Kar Kisi Shehzaady Ka



Roop De Kar Kisi Shehzaady Ka

Apny Bachon Ko Meri Kahaaniyaan

Sunaya Kary Gi Woh

Itny Na Thy Nazuk


     


Itny Na Thy Naazuk K Haathon Sy Masly Jaaty

Hum Ko To Danish Bari Tawajo Se Maara Gaya Hai


Mohabbaton  Ka  Pata  Chaly  Ga



Had - E - Jaana  Se  Guzar  Howa  To  Mohabbaton  Ka  Pata  Chaly  Ga
Koi  Mohabbat  Ki  Nazar  Howa  To  Mohabbaton  Ka  Pata  Chaly  Ga

Abhi     To     Phirty     Ho    Doston    Mein     Aziz     Koi     Juda     Nahi
Koi   Idhar   Se   Udhar   Howa   To   Mohabbaton   Ka Pata   Chaly   Ga

Ye Khush Nasebi Hai Shehar Bhar Mein Tumhara Dushman Nahi Hai Koi
Kabhi  Kisi  Ka   Jo  Dar   Howa   To  Mohabbaton  Ka   Pata  Chaly   Ga

Yeh    Faasla    Jo    Abhi     Talak    Hum    Dono    K    Darmyaan    Hai
Yeh   Faasla  Mukhtsar  Howa  To  Mohabbaton  ka   Pata  Chaly  Ga

Abhi  Mohabbat  Nahi  Howi  Na   Kuch  Iss  Liye  Muskra  Rahy  Ho
Kisi  Ki Baahon Mein  Ghar Howa To Mohabbaton Ka  Pata Chaly Ga

Mohabbat      Mein      Pathron      Ko      Moom      Hoty     Suna     Hai
Tumhary   Dil   Pe   Asar  Howa  To  Mohabbaton  Ka  Pata  Chaly  Ga

Woh  Jis  Ki  Khatir  Bana  Rahy  Ho  Zamany  Bhar Ko Apna Dushman
Who  Hi  Na  Apna  Agar  Howa  To  Mohabbaton  Ka  Pata  Chaly  Ga



Tum Bhi Ab Shehar Se Dar Jaaty Ho, Had Karty Ho



Tum Bhi Ab Shehar Se Dar Jaaty Ho, Had Karty Ho
Dekh Kar Mujh Ko Guzar Jaaty Ho, Had Karty Ho

Nain To Yoonhi Tumhaary Hain Baalaa K Qaatil
Uss Pe Tum Rooz Sanwar Jaaty Ho, Had Karty Ho

Meri Aankhon Se Bhi Nahi Aanso Girny Paaty
Meri Aankhon Mein Thehar Jaaty Ho, Had Karty Ho

Mere Jazbaat Mein Tum Beh To Liya Karty Ho
Kesy Darya Ho, Utar Jaaty Ho, Had Karty Ho

Kesy Dunia Se Chupaaon Main Tumhari Khashbo
Tum Bhi Chup Chaap Bikhar Jaaty Ho, Had Karty Ho

Tum To Kehty Thy Rabaab Ab Main Teri Maano Ga
Tum Phir Bhi Der Se Ghar Jaaty Ho, Had Karty Ho



Na Kisi Ki Aankh Ka Nor Hoon



Na Kisi Ki Aankh Ka Nor Hoon Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon
Kasi Kaam Mein Jo Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-E-Ġhubār Hoon

Na Davā-E-Dard-E-Jigar Huuñ Maiñ Na Kisī Kī Mīthī Nazar Huuñ Maiñ
Na Idhar Huuñ Maiñ Na Udhar Huuñ Maiñ Na Shakeb Huuñ Na Qarār Hoon

Mirā Vaqt Mujh Se BichhaḌ Gayā Mirā Rañg-Rūp BigaḌ Gayā
Jo ḳhizāñ Se Baaġh UjaḌ Gayā Maiñ Usī Kī Fasl-E-Bahār Hoon

Pa.E Fātiha Koī Aa.E Kyuuñ Koī Chaar Phuul ChaḌhā.E Kyuuñ
Koī Aa Ke Sham.A Jalā.E Kyuuñ Maiñ Vo Bekasī Kā Mazār Hoon

Na Maiñ Laag Huuñ Na Lagāv Huuñ Na Suhāg Huuñ Na Subhāv Hoon
Jo BigaḌ Gayā Vo Banāv Huuñ Jo Nahīñ Rahā Vo Siñgār Hoon

Maiñ Nahīñ Huuñ Naġhma-E-Jāñ-Fazā Mujhe Sun Ke Koī Karegā Kyā
Maiñ BaḌe Birog Kī Huuñ Sadā Maiñ BaḌe Dukhī Kī Pukār Hoon

Na Main Muztar Un Ka Habib Hoon Na Main Muztar Un Ka Raqib Hoon
Jo Bigad Gaya Woh Nasib Hoon Jo Ujad Gaya Woh Dayar Hoon





Kabhi Aye Haqeeqat-e-Muntazir




Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir! Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein
Ke Hazaron Sajde Tadap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz Mein

Tarb Ashnaye Kharosh Ho, Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh Ho
Woh Surood Kya Ke Chupa Huwa Ho Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein

Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh Aaeena
Ke Shikast Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein

Dam-e-Tof Karmak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-Kuhan
Na Teri Hikayat-e-Souz Mein, Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein

Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan Mili
Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Afuw-e-Banda Nawaz Mein

Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen Shaukiyan
Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein

Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein



Garmi - E - Hasrat  Naakam  Se  Jal  Jaaty  Hain   



Garmi – E – Hasrat    Naakam    Se   Jal   Jaaty   Hain
Hum Charaghon Ki Tarhan Shaam Se Jal Jaaty Hain

Shamma  Jis  Aag  Mein  Jalti  Hai  Numaish  K  Liye
Hum  Ussi Aag Mein  Gum Naam  Se  Jal Jaaty Hain

Bach  Nikalty  Hain  Agar  Aatash-E-Sayyal Se Hum
Shula - E – Aaraz    Gulfaam    Se    Jal    Jaaty    Hain

Khud  Numayi  To  Nahi  Shewa - E - Arbab - E-Wafa
Jin  Ko  Jalna   Ho  Woh   Aaram  Se   Jal  Jaaty  Hain

Rabt Baham Pe Humen Kya Na Kahen Gy Dushman
Insha    Jab    Tere    Pegham    Se    Jal    Jaaty    Hain

Jab  Bhi  Aata  Hai  Mera  Naam  Tere  Naam  K  Sath
Jaany   Kyon   Log   Mere   Naam  Se   Jal   Jaaty   Hain



Kaha :   Takhliq - E – Fun ?  



Kaha :   Takhliq - E – Fun ?  Boly :  Bohat Dushwar  To Ho Gi
Kaha :   Makhlooq ?    Boly :   Baayes - E - Aazar   To  Ho  Gi

Kaha: Hum Kya Karen Iss Ehad-E-Napursaan Mein, Kuch Kahiye!
Woh    Boly :  Koi    Aakhir    Soorat    Izhaar    To    Ho    Gi

Kaha:  Hum   Apni   Marzi Se  Safar  Bhi  Kar   Nahi   Sakty
Woh  Boly:  Har  Qadam  Par  Ek  Nayi   Dewar  To  Ho  Gi

Kaha: Aankhen Nahi? Iss Ghum Mein Benaayi Bhi Jaati Hai
Woh Boly : Hijar  Ki  Shab  Hai,  Zara  Dushawar  To Ho Gi

Kaha :  Jalta   Hai   Dil ,  Boly : Issy   Jalny   Diya   Jaye
Andhery   Mein   Kisi   Ko   Roshni   Darkar   To  Ho  Gi

Kaha :  Yeh  Koocha   Giri  Or  Kitni  Der  Tak  Aakhir ?
Woh Boly: Ishq Mein Matti Tumhari Khawar To Ho Gi  


Categories