Na Kisi Ki Aankh Ka Nor Hoon



Na Kisi Ki Aankh Ka Nor Hoon Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon
Kasi Kaam Mein Jo Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-E-Ġhubār Hoon

Na Davā-E-Dard-E-Jigar Huuñ Maiñ Na Kisī Kī Mīthī Nazar Huuñ Maiñ
Na Idhar Huuñ Maiñ Na Udhar Huuñ Maiñ Na Shakeb Huuñ Na Qarār Hoon

Mirā Vaqt Mujh Se BichhaḌ Gayā Mirā Rañg-Rūp BigaḌ Gayā
Jo ḳhizāñ Se Baaġh UjaḌ Gayā Maiñ Usī Kī Fasl-E-Bahār Hoon

Pa.E Fātiha Koī Aa.E Kyuuñ Koī Chaar Phuul ChaḌhā.E Kyuuñ
Koī Aa Ke Sham.A Jalā.E Kyuuñ Maiñ Vo Bekasī Kā Mazār Hoon

Na Maiñ Laag Huuñ Na Lagāv Huuñ Na Suhāg Huuñ Na Subhāv Hoon
Jo BigaḌ Gayā Vo Banāv Huuñ Jo Nahīñ Rahā Vo Siñgār Hoon

Maiñ Nahīñ Huuñ Naġhma-E-Jāñ-Fazā Mujhe Sun Ke Koī Karegā Kyā
Maiñ BaḌe Birog Kī Huuñ Sadā Maiñ BaḌe Dukhī Kī Pukār Hoon

Na Main Muztar Un Ka Habib Hoon Na Main Muztar Un Ka Raqib Hoon
Jo Bigad Gaya Woh Nasib Hoon Jo Ujad Gaya Woh Dayar Hoon





No comments:

Post a Comment

Categories