Sahara Chahiye Sarkar Hafiz Tahir Qadri New Naat 2017



Lyrics:


Mere aaqa madiny bula lijiye
Mere aaqa madiny bula lijiye

Sahara chahye sarkar zindagi k liye
Tarap raha hoon madine ki haazri k liye

Tayyaba k jaany waly
Jaa kr bary adab se
Mera bhi qisaa e gham kehna shah-E-arab se
Kehna k  shah-e- aalam
Ek ranjo ghum ka mara
Dono jahan mein jis ka hain aap hi sahara
Haalat e pur alam se  iss dum guzar raha hai
Or kampty labon se faryaad kr raha hai
Paaye gunaah apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai aesa jo pochny ko aaye
Bola howa musafir manzil ko dondta hai
Taarikyoo ko maah-e-kamil ko dondta hai
Seeny mein hai andhera
Dil hai syaah khana
Ye hai meri kahani sarkaar ko sunana
Kehna mere nabi se main room hoo khushi se
Kehna mere nabi se main room hoo khushi se
Sarwar qabr-e-ghum hai ashkon se aankh num hai
Paamal-e-zindgi hoo sarkar umati hoo
Ummat k rehnmao kuch arz-e-haal sun lo faryaad kr raha ho
main dil figar kb se Mera bhi qissa-e-ghum kehna mery nabi se

Hazoor aesa koi intzamm ho jaye
Salam k liye hazir ghulaam ho jaye

Sahara chahye sarkar zindgi k liye
tarap raha hoo madine ki hazri k liye

Mera dil tarap raha mera jal raha hai seena
K dawa wahi mily gi mujy ly chalo madina
Nahi maal-o-zar to kya hai
Main greeb hoo yahi na
Mere ishq mujh ko ly chal
tuhi janb-e-madina
Aaqa na toot jaye  ye dil ka aabghina
Ab k baras bhi muala reh jaon main kahin na
Dil ro raha hai jin ka aanso chalak rahy hain
Un aashqo ka sadqa bolwaye madinaaaaa

Mere aaaqa madiny bula lijiye

Madiny jaaon phir aaon dobara phir jaaon
Ye zinagi meri yonhi tamam ho jaye

Sahara chahye sarkar zindagi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye

Ae aazm-e-madina ja kr nabi se kehna
Sody humen alam se ab jal raha hai seena
Kehna k bar rahi  ab dil ki iztrabi
Qadmo se door hoo me qismat ki hai khrabi
Kehna k dil me mere arman bhary howe hain
Kehna k hasrtoon k nashtar choby howe hain
Hai aarzo ye dil ki main bhi madina jaao
Sultan-e-do jahan ko
Daaghy jigar dikhao
Kaato hazar chakar tayyaba ki har gali k
Yonhi guzaar do aayam zindgi k
Pholon py jaan nisaron kanton py dil ko waaron
Zarron ko doon salami  dar ki karon ghulami
Dewaro dar ko chomon chokhat py sar ko rakh doon

Rozy ko dekh kr main rota raho brabar
Aalam k dil mein hai ye hasrat najaany kab
hum sab k hai dil mein  hasrat najany kab se
Mera bhi qisa e ghum kehna shah-e-arab se

Sahara chahaye sarkar zindgi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye

Ek roz ho ga jaana sarkar ki gali mein
Ho ga wahi thikana sarkar ki gali mein
Dil mein nabi ki yaaden lab par nabi ki naaten
Jana to aese jana sarkar ki gali me

Ya mustafa khudara do izn haazri ka
Kr lo nazara aakr main ap ki gali ka
Ek baar to dikha do ramzan mein madina
Iss bar to dikha do ramzan mein madina
Aaqqa humen dikha do ramzan me madina
Beshak bana lo aaqa mehman do ghari ka

Naseeb walo mein mera bhi naam ho jaye
Jo zindgi ki madiny mein shaam ho jaye

Shahra chahye sarkar zindgi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye

Bula lo na bula lo na

Aaqaq aaqa aqqa


2 comments:

Categories

Blog Archive