Kash Main Dor-E-Payamber Mein Uthaya Jaata New Naat By Farhan Ali Waris



Lyrics:


Kash mein dor e payambar me uthaya jaata ,,
Bakhuda qadmo me sarkaar (s.a.w.w) k paya jaata ,,

Sath sarkaar (s.a.w.w) k ghazwat me shamil hota,,
Unki nusrat me lahu mera bahaya jaata ,,

Rait ke zaron me Allah badal deta mujhe ,,
Or mujhe rah e Muhammad (s.a.w.w) me bichaya jaata ,,

Khak hojata mein sarkaar (s.a.w.w) k qadmo ke taley ,,
Khak ko khak e madina me milaya jaata ..

Kash aey kash mein hota koi aisi lakri ,,
Jisko sarkaar (s.a.w.w) ke minber me lagaya jaata ,,

Bun ke lejata mujhe naat Ke shairon me koi ,,
Robaro unke mein unko hi sunaya jaata,,

Unke Roze k dar o baam sajane ke liye ,,
Rozano me meri ankhon ko lagaya jaata ,.

K Ghaas hi hota madine ke gali koochon ki ,,
Or sarkaar (s.a.w.w.) k naaqey ka khilaya jaata ,,

K laya jaata sar e darbaar aseeron ki trah ,,
Hukm pr unke mein azaad karaya jaata ,,

Hota us dor ka qisa koi noor o farhan ,,,
Aj k dor mein bachon ko parhaya jaata ,,


3 comments:

Categories

Blog Archive