Har ek baat pe kehty ho...!!! 




Har ek baat pe kehty ho tum ki tu kya hai,
tumhin kaho k ye andaaz-e-guftgoo kya hai.

Na sholy mein ye karishma na barq mein ye adaa,
koi bataao k woh shokh-e-tund-khoo kya hai.

Ye rashk hai k woh hota hai hum-sukhan tum se,
wagarna khauf-e-bad-aamozi-e-adoo kya hai.

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan,
humari jaib ko ab haajat-e-rafoo kya hai.

Jalaa hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga,
kurdate ho jo ab raakh justjoo kya hai.

Ragon mein daurte phirne k hum nahin qaayal,
jab aankh se hi na tapka toh phir lahoo kya hai.

Woh cheez jis k liye hum ko ho bahisht azeez,
siwaaye baada-e-gulfaam-e-mushk-boo kya hai.

Piyon sharaab agar ghum bhi dekh loon do chaar,
ye sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai.

Rahi na taaqat-e-guftaar or agar ho bhi,
toh kis ummeed pe kahen k aarzoo kya hai.

Bana hai shah ka musaahib phire hai itraata,
wagarna shehar mein ‘GHALIB’ ki aabroo kya hai. !!


No comments:

Post a Comment

Categories

Blog Archive